Powered By Blogger

Sunday 5 April 2015

Deewar

Ye mard aurat ke liye kya hota hai?
Wo ek darwaaza hota hai, Darwaaze ka kaam ya to rasta dena hota hai ya rasta rok lena hota hai....
Iss darwaaze ne mera rasta rok liya hai....mera hi nahi har aurat ka rasta rok liya hai....aage jaane hi nahi deta... kabhi bhi aage jaane nahi diya....aur aurat darwaaze ko kholne ki kabhi koshish hi nahi karti....uski chaukhat par baith jaati hai....usko choomti hai....usko sajda karti hai....to phir darwaaza rasta kyu na roke??

Aurat kya hoti hai....
Aurat ek bail ki tarah hoti hai aur mard deewar ki tarah ...bail saari umar apne liye ek deewar dhoonti hai...jiski wajah se wo aage ja sake.....nazaro mai aa sake...bail utni hi upar jaati hai jitni deewar jaati hai....bail ko lagta hai ki agar deewar na hoti to wo kuch bhi na hoti, logo ke pairon ke neeche aake khatam ho gayi hoti....wo saari zindagi uski ehsaanmand rehti hai....usko saaya deti hai...apne phool patto se mehekati hai.....aur jab sookhne lag jaati hai....tab bhi uss deewar ke saath chipki rehti hai....ek chipkali ki tarah....
Deewar ko kitna faayda hota hai...bail usko dhakti hai....saaya deti hai...apne phool patto se sajati hai...mehekati hai...umar bhar uski ehsaanmand rehti hai....aur deewar...deewar sirf usko sahara deti hai...
sirf sahara!!!